Friday, May 14, 2010

Stupid, Strict Translations

Following are some strictly literal Urdu to English Translations of commonly used sentences and famous movie dialogues :

  • Lalay, Naukri kar, Ghulami na kar
  • Pathan's son, job do, slavery no do
  •  
  • Chotay, Chai la
  • Junior, tea get

  • Tamatar kaisay diay?
  • Tomatoes how give

  • kuch kam to karo
  • some less to do

  • Bade bade desho mein aisi chhoti chhoti baatein hoti rehti hein.
  • Big Big Countries in this small small things happening

  • Don ka intzaar to gyarah mulko ki police kar rahi hai Sonia, Lekin itna jan lo ki DON ko pakadna mushkil hi nahi, na mumkin hai.
  • Don for waiting eleven countries police Sonia, but this know DON to arrest difficult not only impossible is

  • Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai, har mod aasan nahi hota, har mod par khushi nahi milti.... Par jab hum zindagi ka saath nahi chodte to hum mohabbat ka saath kyon chhode."
  • love too life is like, every turn easy not, every turn on happiness not get... but when we life along not let go then we love along why let go

  • Tum soch rahi hogi ki main yeh race kyo haar gaya. Main yeh race tumhare liye har gaya. Tumhi ne kaha tha na ki mere dad ke saamne ye iki, riki, piki sab fail ho jaate hai. Kabhi-kabhi kuch jitne ke liye kuch haarna padta hai Aur haar kar jitne wale ko Baazigar kehte hai.
  • You thinking that me this race why lost. i this race for you lost, you only said no that my father in front this iki, riki, piki everything fails. Sometime sometime some winning for some lose have to and lost after winning is Baazigar called

  • Mogambo khush hua
  • Magambo happy is

  • AAJ ....aaj ek zindagi aur jeelo .aaj ek hasin aur baathlo, aaj ek sapna aur dekhlo , aaj ek aason aur peelo
  • Today... today one life more live. Today one smile more spread, today one dream more see, today one tear more drink

  • Yeh bacchhon ke khelne ki cheez nahi, haath kat jaaye toh khoon nikal aata hai.
  • This kids for playing for thing not, hand cut if then blood out comes is.

  • Mooche ho to Nathulal jaise ho….warna na ho
  • Mustache have like Nathulal like have... otherwise not have

  • Sara saher mujhe lion ke naam se jaanta hai
  • Whole city me lion name knows

  • Police ne tumhe charon taraf se gher liya hai – apne aap ko kannon ke haawale kar do
  • Police have your four directions from surrounded have - yourself you law to surrender to

  • Chalti Ka Naam Gadi
  • Moving is named car
  •  
  • Mere Paas Maa Hai
  • I near mother is
  •  
  • Arrey oh sambha kitney admi they
  • O yee Sambha how many men were
  •  
  • Chal Dhano! Aaj teri Basanti ki izzhat ka saawal hai
  • walk dhanno! today your basanti of  respect for question is
  •  
  • Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahi se shuru hoti hai
  • we where standing, queue there begins from

  • Rishtey main to hum tumhare baap lagte hain magar naam hai Shenshah
  • Relation in I your father am but name is Shehshah

  • Kanoon ke haath bahut lambe hote hain
  • Law of hands lot long has

  • Basanti in kutto ke samne mat nachna
  • Basanti these dogs in front of not dance
As always more to come soon

No comments: